Wednesday, 20 September 2017

Gulabi hawa

Ye gulabi hawa ye sharabi ghata 

Karta hai khata is dil ko bata 

Kar betha wahi meri sunta nahi

Dil kho hai gaya tuzme hi kahi 

Mai nahi janta kyu tuze manta

Tere khayalo mai bass ruka rehta 

Ab mai kya karu iss dil ki sunu 

Tuze apna kahu ya bhula tuzko du

Par lagta yahi tu to meri nahi 

Teri masum hasi mere dil mai basi

Abb dil na sune bass itna kahe 

Kisi aur dunya mai tu meri rahe

Ab to bass itna hi kehna 

Sada hasti rehna

No comments:

Post a Comment